Skip to main content

Teri surat par nahi teri seerat Par mar gaye hum

Teri Surat par marne wale boht honge
Teri Tarife karne wale boht honge
beshak khubsurat ho tum par sirf teri sheerat par marne wale hum honge

na dekha tujhe saalo se, par dil me ek tasveer aaj bhi basi hai
tum soch rahi hogi tere husn ki dastan hogi, par teri seerat ki ek khubsurat sej saji hai
na dikho tum mere liye teri awaz me sukun hai
agar awaz bhi na do to ek message bhi ek mithi dhun hai

log chahte honge apne safar me tujhe humsafar banane ko
mere liye to jaha meri zidndgi ka safar khatm ho waha tera ehsas hi kaafi hai
nahi hu teri jawani ka diwana, nahi hu tere yowan ka lalachi
bas tere hone ka ehsas ho zindgi me bas itna hi hai mere liye kafi hai

har wakt bhagte rehna mujhe pasnd nahi
tujhse tujhe paane ko ladna mujhe pasand nahi
jo khud mujhe hai chahte pta nahi kyu mujhe pasand nahi
har baar apna pyar mujhe jatate hai, par mujhe pasand nahi

jujhe jab maine paya ek nayi zindgi mili thi
shayd isse pehle meri zindgi aisa kuchh nahi hua tha
12 saal boys school me bitane ke baad pehli baar kisi ladki ko apni zindgi me paya tha
 nahi ata tha kuchh bhi sab tere saath sikha tha, par shyad tu na samjh paayi
main sirf upar se uljha, andar se bilkul seedha tha

tere sath jo pal bitaye unme ek sukun tha
ha me boht bar galt tha par tere sath zindgi bitane ka zunun tha
bachpna tha, nadani thi, nayi nayi aayi shayd ayi wo jawani thi
zindgi me boht kuchh badal raha tha, tum na badal jao ye bhi ek ansuni kahani tha

 Teri Surat par nahi teri seerat par mar gaye hum...
 Teri Surat par nahi teri seerat par mar gaye hum...





Comments

Popular posts from this blog

10 Signs I am in love with You

  Ten sign I am In Love with You 10 Signs I am in Love With You Manoj Joshi

Love-Poem

Manoj Joshi