Skip to main content

Posts

Showing posts from May, 2016

Ek haqikat

"Insaan, Ghar badalata hai ... Libaas badalata hai ..... Rishte badalata hai ... Dost badalata hai .... Phir bhi pareshaan kyon rehta hai .... Kyon ki woh khud ko nahi badalata " .... Isiliye to Mirza Galib ne kaha tha: "Umer bhar Ghalib yahi Bhool Karta raha, Dhool Chehre pe thi, aur Aina saaf karta raha"...

Bewafai to sab karte hai but tu to samjhdar thi tu kuchh aur kar leti..

Bewafai to sab karte hai but tu to samjhdar thi tu kuchh aur kar leti.. Kitno ko dekha hai maine wade karte hue.. Kuchh jhute khwab sajate hue.. Par tu to aisa na karti tu to samajhdar thi.. Kuchh log mohabbat khel smjhte hai.. Kuchh dil behlane ka jaria.. Kuchh ko chaht hoti hai kuchh pane ki.. Har kisi ka hota hai alag nazariya.. Kuchh yuhi badalte rehte hai rishte jaise bikte ho ye bazar main.. Kuchh dil badal lete hai apna..  Kuchh badal dalte hai dil behlane wala..  Par tu to aisa na karti tu samajhdar thi.. Kaun kehta hai kuchh baten thik nahi ho sakti.. Kaun kehta hai ki insan badal nahi sakta.. Bas ek lagan aur jajba hona chahiye.. Arey yr wahi duniya hai jisme har koi kehta hai.. ki har chij ki hai sambhawta..  Yu jhute khwab dikhate hai kuchh.. Kuchh khud hi jhute ban jate hai.. Kuchh khud ko jhuta batate hai.  To kuchh badi shan se jhut apnate hai.. Par tu to kuchh aur karti.. tu samjhdar thi. .. 

Jee raha hu main par ye wo zindgi nahi

Jee raha hu main par ye wo zindgi nahi Ha sach me jee to raha hu par ye wo zindgi nahi.. Jaha main hasta tha tujhe hasane ke liye.. Yaha ab main hasta hu sirf Gum Chhupane ke liye... Tab Anshu aate the tujhe manane ke liye.. ab ye anshu aate hai gum bhulane ke liye... Ek yakeen hota tha jaha kisi ke aane ka... Yaha to umeed hi kho chhuki kai kisi ko paane ki.. ha main zee to raha hu par ye wo zindgi nahi.. ha main zee to raha hu par ye wo zindgi nahi.. Kabhi ruthta tha kabhi manata tha use.. Ab to ruthu bhi kis se koi nahi yaha manane ko.. Baten karta tha tab din raat tujhse.. Ab nahi hai kuchh bhi kisi ko batane ko... Na hoti thi baat to poori raat phone on rehta tha.. aaj baate ho bhi to bhi tujhe call karne se darta hu.. darta yu nahi ki mujhme himmat nahi tujhse baat karne ki... darta yu hu ki agar baat na hui to aur himmat nahi hai tut jaane ki,, ha main jee to raha hu par ye wo zindgi nahi...  

Khush Hu Main - Aaj fir teri yaad aayi

Khush Hu main... Ha khush Hu main... Teri Yadon Main Khush Hu main.. Teri Baton Se khush Hu me...  Tujhe Chah Ke khush Hu main.. Teri Tanhai Me khush Hu... Tera Hone Ki adat Main Khush Hu main.. Teri Yaad main Rone Main Khush Hu main.. Yakin Nahi Tere Laut Ke aane ka.. Par is yakin ke bavjut tujhe pyar karne main khush hu main.. Achhahi tujhme hai ya mujhme ya nahi pta... Bas tere liye achha sochne main khush hu main... Ha apni wafa main aur teri bewafai me khush hu main.. Ha main Khush Hu.. Ha main Khush Hu...