Skip to main content

Posts

Showing posts from November, 2018

Boht door hai Jana - Thoda sambhalna

Mere mehbub se kehna jara dhyan apna rakhna Bhagna tez par pairo me thoda aram rkhna Pta hai jana hai boht door tumne  par apno ka hath thame rakhna Open minded ho manta hu par duniya badi zalim hai ye b yaad rakhna Wo tumhe behlayenge wo tumhe fuslayenge Tumhe khush karne ko Tumhari jhuti tarif jane kitni bar dohrayenge Samjhna hai har ek daw unka Irada nahi hai nek jinka Wo tumhe apno k liye badkane se b baaz nahi ayenge Yu kaho wo tumhe paane k liye tumhe sabse door karte chale jayenge Bas mera bas yahi hai kehna apna dhyan rakhna kyuki Boht door hai tumne jana Naye Dost jarur banana yahi to zindgi hai humari Bas sirf unhi me mat kho jana kahi koi zindgi hi nahi rahe tumhari Kisi se kuchh na kehna par sabko ye jarur btana Itna asan nahi hai tumhe behkana, tumne bhi dekha hai zamana Akhir bohot door hai tumne jana Lakh safaltayen milengi in raho me tumhe Kuchh haste hue mil jayengi Kuchh ko pane me bohut mehnat lagegi tumhe Par fir bhi honto me muskurah

Teri Tasvir meri Taqdir

Tujhse door hu par tujhe khud k pas hi rakha hai Rehne ko hazaro k bich rehta hu par sirf tujhe apne dil wich rakha hai Ek teri tasvir nahi badalati mere dil me, Ek meri taqdir nahi badlti tere dil me. Yu to shanti boht hai meri zindgi me Par tere sath ladne ke baad bhi tere sath rehne wala sukun ab nahi Yu to boht kuchh pata chla ja raha hai zidgi me Bas tujhse door hu yahi sabse bura hai meri zindgi me Thodi si baaten karlu tujhse Thoda sa dekhlu tujhe samne se haste hue Thoda sa paidal chal lu bas yahi to chaha hai tujhse Kyuki ek teri tasvir nahi badalti mere dil me Ek meri taqdir nahi badalti tere dil me